shauq-e-dil baDh ke ek aazar na hone pae
shauq-e-dil baḌh ke ik āzār na hone paa.e
zulf-o-mizhgāñ rasan-o-dār na hone paa.e
phir na ye lutf-e-tamāshā na ye raqs-e-bismil
tiir siine se koī paar na hone paa.e
chārasāzī bhī hai minjumla-e-ādāb-e-sitam
apne ġham kā koī ġham-ḳhvār na hone paa.e
ek zanjīr-e-girāñ-bār hai ye āzādī
haif vo dil jo giraftār na hone paa.e
baat ik husn-e-salīqa kī hai rindī bhī 'shafīq'
kitne mai pī ke bhī mai-ḳhvār na hone paa.e
shauq-e-dil baDh ke ek aazar na hone pae
zulf-o-mizhgan rasan-o-dar na hone pae
phir na ye lutf-e-tamasha na ye raqs-e-bismil
tir sine se koi par na hone pae
chaarasazi bhi hai minjumla-e-adab-e-sitam
apne gham ka koi gham-KHwar na hone pae
ek zanjir-e-giran-bar hai ye aazadi
haif wo dil jo giraftar na hone pae
baat ek husn-e-saliqa ki hai rindi bhi 'shafiq'
kitne mai pi ke bhi mai-KHwar na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.