shauq-e-dil hasrat-e-didar se aage na baDha
shauq-e-dil hasrat-e-dīdār se aage na baḌhā
maiñ kabhī jalva-gah-e-yār se aage na baḌhā
mahram-e-rāz-e-haqīqat use samjheñ kyūñkar
ishq meñ jo rasan-o-dār se aage na baḌhā
nañg hai ishq meñ rāhat talabī ai ġhāfil
tausan-e-umr ġham-e-yār se aage na baḌhā
ḳhuld ko ham bhī samajhte haiñ magar ai vaa.iz
ḳhuld ko kūcha-e-dildār se aage na baḌhā
maiñ ne kyā kyā na kiyā ahd-e-vafā par isrār
vo faqat va.ada-e-har-bār se aage na baḌhā
bandisheñ ka.aba kī qible kā ta.ayyun be-kār
merā sajda qadam-e-yār se aage na baḌhā
hashr meñ aur bhī the mujrim-e-ulfat lekin
koī bhī tere gunahgār se aage na baḌhā
zindagī apnī thī ik vaqfa-e-taskīn-e-nafas
jo kabhī vaqt kī raftār se aage na baḌhā
kaam nashtar kā hai paivast rag-e-jāñ honā
vo bhī to abrū-e-ḳhamdār se aage na baḌhā
kis qadar josh pe thī sāhil-o-tūfāñ kī kashish
merā beḌā kabhī mañjdhār se aage na baḌhā
rah ga.e do hī qadam jal ke hazāroñ fitne
koī fitna tirī raftār se aage na baḌhā
ek do jaam meñ sab ho ga.e be-ḳhud saaqī
koī bhī 'afqar'-e-mai-ḳhvār se aage na baḌhā
shauq-e-dil hasrat-e-didar se aage na baDha
main kabhi jalwa-gah-e-yar se aage na baDha
mahram-e-raaz-e-haqiqat use samjhen kyunkar
ishq mein jo rasan-o-dar se aage na baDha
nang hai ishq mein rahat talabi ai ghafil
tausan-e-umr gham-e-yar se aage na baDha
KHuld ko hum bhi samajhte hain magar ai waiz
KHuld ko kucha-e-dildar se aage na baDha
main ne kya kya na kiya ahd-e-wafa par israr
wo faqat wada-e-har-bar se aage na baDha
bandishen kaba ki qible ka tayyun be-kar
mera sajda qadam-e-yar se aage na baDha
hashr mein aur bhi the mujrim-e-ulfat lekin
koi bhi tere gunahgar se aage na baDha
zindagi apni thi ek waqfa-e-taskin-e-nafas
jo kabhi waqt ki raftar se aage na baDha
kaam nashtar ka hai paiwast rag-e-jaan hona
wo bhi to abru-e-KHamdar se aage na baDha
kis qadar josh pe thi sahil-o-tufan ki kashish
mera beDa kabhi manjdhaar se aage na baDha
rah gae do hi qadam jal ke hazaron fitne
koi fitna teri raftar se aage na baDha
ek do jam mein sab ho gae be-KHud saqi
koi bhi 'afqar'-e-mai-KHwar se aage na baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.