shauq-e-junun ke waste dil ka sukun gaya
shauq-e-junūñ ke vāste dil kā sukūñ gayā
muTThī se jaise ret phisaltī hai yuuñ gayā
chashm-e-garāñ ne dam liyā manzar-kashī se ab
āñkhoñ kī bhuuk miT ga.ī shauq-e-darūñ gayā
charchā thā us ke shahr meñ qātil nazar hai vo
us kī galī meñ jo bhī gayā sar-nigūñ gayā
aate the pahle mujh ko fusūñ zindagānī ke
jab se gayā hai vo mirā zauq-e-fusūñ gayā
maarā hai is tarah se mujhe hijr-e-yār ne
paikar se jaañ nikal ga.ī rag-rag se ḳhuuñ gayā
ye zindagī mujhe kare yuuñ hausla atā
koī tirā jo pūchh le hañs ke kahūñ gayā
shauq-e-junun ke waste dil ka sukun gaya
muTThi se jaise ret phisalti hai yun gaya
chashm-e-garan ne dam liya manzar-kashi se ab
aankhon ki bhuk miT gai shauq-e-darun gaya
charcha tha us ke shahr mein qatil nazar hai wo
us ki gali mein jo bhi gaya sar-nigun gaya
aate the pahle mujh ko fusun zindagani ke
jab se gaya hai wo mera zauq-e-fusun gaya
mara hai is tarah se mujhe hijr-e-yar ne
paikar se jaan nikal gai rag-rag se KHun gaya
ye zindagi mujhe kare yun hausla ata
koi tera jo puchh le hans ke kahun gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.