shauq-e-KHarash-e-Khaar mere dil mein rah gaya
shauq-e-KHarash-e-Khaar mere dil mein rah gaya
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
shauq-e-ḳharāsh-e-ḳhār mire dil meñ rah gayā
pā-e-talāsh pahlī hī manzil meñ rah gayā
maiñ zamzama-sarā to chaman se gayā vale
afsāna ik giroh-e-anādil meñ rah gayā
zanjīr-e-mauj paañv meñ aa kar lipaT ga.ī
tūfāniyoñ kā dhyān hī sāhil meñ rah gayā
tasvīr us kī kaise khiñchī mānī-e-ḳhayāl
hairān jis kī shakl-o-shamā.il meñ rah gayā
kaam apnā to tamām kiyā yaas ne 'havas'
jī ishtiyāq-e-ḳhanjar-e-qātil meñ rah gayā
shauq-e-KHarash-e-KHar mere dil mein rah gaya
pa-e-talash pahli hi manzil mein rah gaya
main zamzama-sara to chaman se gaya wale
afsana ek giroh-e-anadil mein rah gaya
zanjir-e-mauj panw mein aa kar lipaT gai
tufaniyon ka dhyan hi sahil mein rah gaya
taswir us ki kaise khinchi mani-e-KHayal
hairan jis ki shakl-o-shamail mein rah gaya
kaam apna to tamam kiya yas ne 'hawas'
ji ishtiyaq-e-KHanjar-e-qatil mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.