shauq-e-KHwabida wo bedar bhi kar deta hai
shauq-e-ḳhvābīda vo bedār bhī kar detā hai
havas-e-zīst se sarshār bhī kar detā hai
husn-e-be-dāġh kī bas ek jhalak dikhlā kar
vāqif-e-lazzat-e-takrār bhī kar detā hai
pahle vo Dāltā hai aag ke dariyāoñ meñ
phir usī aag ko gulzār bhī kar detā hai
raat bhar kartā hai vo din ke nikalne kī duā
sub.h-dam raushnī mismār bhī kar detā hai
qissa-e-afv-o-guzārish ke tasalsul ke liye
be-ḳhatāoñ ko ḳhatā-kār bhī kar detā hai
ḳhud hī rakhtā hai diye tez havā kī zad par
aur āñdhī se ḳhabar-dār bhī kar detā hai
kabhī sikhlātā hai vo sulh-o-safā.ī ke hunar
kabhī ḳhud barsar-e-paikār bhī kar detā hai
kabhī kartā hai nichhāvar mirī rāhoñ meñ phuul
vaqt mil jaa.e to pur-ḳhār bhī kar detā hai
inkisārī ke sabhī raaz batā kar mujh ko
yak-ba-yak mā.il-e-pindār bhī kar detā hai
pahle kartā hai vo āmāda gunāhoñ pe 'farīd'
phir us ik baat kā iz.hār bhī kar detā hai
shauq-e-KHwabida wo bedar bhi kar deta hai
hawas-e-zist se sarshaar bhi kar deta hai
husn-e-be-dagh ki bas ek jhalak dikhla kar
waqif-e-lazzat-e-takrar bhi kar deta hai
pahle wo Dalta hai aag ke dariyaon mein
phir usi aag ko gulzar bhi kar deta hai
raat bhar karta hai wo din ke nikalne ki dua
subh-dam raushni mismar bhi kar deta hai
qissa-e-afw-o-guzarish ke tasalsul ke liye
be-KHataon ko KHata-kar bhi kar deta hai
KHud hi rakhta hai diye tez hawa ki zad par
aur aandhi se KHabar-dar bhi kar deta hai
kabhi sikhlata hai wo sulh-o-safai ke hunar
kabhi KHud barsar-e-paikar bhi kar deta hai
kabhi karta hai nichhawar meri rahon mein phul
waqt mil jae to pur-KHar bhi kar deta hai
inkisari ke sabhi raaz bata kar mujh ko
yak-ba-yak mail-e-pindar bhi kar deta hai
pahle karta hai wo aamada gunahon pe 'farid'
phir us ek baat ka izhaar bhi kar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.