shauq-e-nazar gulab se bhi mutmain nahin
shauq-e-nazar gulāb se bhī mutma.in nahīñ
chashm-e-udās ḳhvāb se bhī mutma.in nahīñ
kis umr meñ na-jāne qanā.at pasand ho
ye dil ki dastiyāb se bhī mutma.in nahīñ
ab tere ḳhadd-o-ḳhāl pe kyā iktifā kare
ye aañkh māhtāb se bhī mutma.in nahīñ
bas yūñhī be-qarārī kī lat meñ huuñ mubtalā
vaise maiñ iztirāb se bhī mutma.in nahīñ
mere bhale dinoñ pe bhī vo mo'tariz rahā
ab sā.at-e-ḳharāb se bhī mutma.in nahīñ
kitnoñ ko rāh-e-rāst pe laayā 'hasan' magar
darvesh is savāb se bhī mutma.in nahīñ
shauq-e-nazar gulab se bhi mutmain nahin
chashm-e-udas KHwab se bhi mutmain nahin
kis umr mein na-jaane qanaat pasand ho
ye dil ki dastiyab se bhi mutmain nahin
ab tere KHadd-o-KHal pe kya iktifa kare
ye aankh mahtab se bhi mutmain nahin
bas yunhi be-qarari ki lat mein hun mubtala
waise main iztirab se bhi mutmain nahin
mere bhale dinon pe bhi wo mo'tariz raha
ab saat-e-KHarab se bhi mutmain nahin
kitnon ko rah-e-rast pe laya 'hasan' magar
darwesh is sawab se bhi mutmain nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.