shauq-e-nazzara jo sargarm-e-nazar hota hai
shauq-e-nazzāra jo sargarm-e-nazar hotā hai
jalva-gar husn ba-andāz-e-digar hotā hai
ho mubārak ye tirī parda-nashīnī tujh ko
yaad ye bhī rahe dīvār meñ dar hotā hai
jhuuT phir jhuuT hai lekin ye haqīqat hai ki jhuuT
purkashish hotā hai aur zūd-asar hotā hai
jis ḳharābe meñ paḌā huuñ use ghar kaise kahūñ
dar-o-dīvār salāmat hoñ to ghar hotā hai
tū hai vo naḳhl gul-afshāñ hai jo har rahrav par
maiñ huuñ vo peḌ jo be-barg-o-samar hotā hai
us kī bedād-garī din ke ujāle meñ kahāñ
bol añdhere kā baḌā tā-ba-sahar hotā hai
vādī-e-yād hai aur pā-e-tasavvur 'ehsāñ'
dekhiye kis tarah maazī kā safar hotā hai
shauq-e-nazzara jo sargarm-e-nazar hota hai
jalwa-gar husn ba-andaz-e-digar hota hai
ho mubarak ye teri parda-nashini tujh ko
yaad ye bhi rahe diwar mein dar hota hai
jhuT phir jhuT hai lekin ye haqiqat hai ki jhuT
purkashish hota hai aur zud-asar hota hai
jis KHarabe mein paDa hun use ghar kaise kahun
dar-o-diwar salamat hon to ghar hota hai
tu hai wo naKHl gul-afshan hai jo har rahraw par
main hun wo peD jo be-barg-o-samar hota hai
us ki bedad-gari din ke ujale mein kahan
bol andhere ka baDa ta-ba-sahar hota hai
wadi-e-yaad hai aur pa-e-tasawwur 'ehsan'
dekhiye kis tarah mazi ka safar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.