shauq-e-surur sham-e-gham apne siwa kisi ka hai
shauq-e-surūr shām-e-ġham apne sivā kisī kā hai
jām-o-subū kisī ke haiñ kaif-o-nasha kisī kā hai
qurb-e-vajūd ḳhaak hai koī gila to chāhiye
koī gila rahā nahīñ ham se gila kisī kā hai
shām-e-ḳhayāl-e-jāñ ḳhalā māhaul-e-dostāñ ḳhalā
vā'da huā kisī se hai vā'da vafā kisī kā hai
ḳhud ko pahuñch ke dekhiye kyā na paḌegā biich meñ
goyā qabā hai aap kī band-e-qabā kisī kī hai
sehr-e-asā-e-sāmrī ḳhauf-e-ḳhudā-e-rāmsīs
ya.anī asā kisī kā hai ya.anī ḳhudā kisī kā hai
kis ke ḳhudā kā zikr ho kis ke ḳhudā se kaam ho
dil meñ duā kisī se hai harf-e-duā kisī kā hai
shauq-e-surur sham-e-gham apne siwa kisi ka hai
jam-o-subu kisi ke hain kaif-o-nasha kisi ka hai
qurb-e-wajud KHak hai koi gila to chahiye
koi gila raha nahin hum se gila kisi ka hai
sham-e-KHayal-e-jaan KHala mahaul-e-dostan KHala
wa'da hua kisi se hai wa'da wafa kisi ka hai
KHud ko pahunch ke dekhiye kya na paDega bich mein
goya qaba hai aap ki band-e-qaba kisi ki hai
sehr-e-asa-e-samri KHauf-e-KHuda-e-ramsis
yani asa kisi ka hai yani KHuda kisi ka hai
kis ke KHuda ka zikr ho kis ke KHuda se kaam ho
dil mein dua kisi se hai harf-e-dua kisi ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.