shauq karta hai safar bang-e-dara se pahle
shauq kartā hai safar bāñg-e-darā se pahle
kaan bajte haiñ mohabbat meñ sadā se pahle
shart itnī hai ki takmīl ho mahrūmī kī
jalva dikhlātī hai tāsīr duā se pahle
ishq aur husn kisī ahd meñ be-lāg na the
mahviyat shauq se shoḳhī thī hayā se pahle
muḳhtasar zindagī-e-ishq kī rūdād ye hai
maut aatī hai ka.ī baar qazā se pahle
is bure haal meñ bhī pās-e-mohabbat dekho
dil ne dam toḌ diyā ḳhūn-e-vafā se pahle
zānū-e-dost pe rāhat ye milī vaqt-e-aḳhīr
lag ga.ī aañkh murī ḳhvāb-e-fanā se pahle
aaj haiñ fitna-e-daurān-o-qayāmat āshob
vahī nazreñ jo na uThtī thiiñ hayā se pahle
dāstāñ husn-e-haqīqat kī thī rangīn lekin
itnī rangīñ na thī ḳhūn-e-shohadā se pahle
is kamī par hai vo aalam ki ilāhī tauba
haa.e kyā chiiz the tum tark-e-vafā se pahle
abhī zebā nahīñ tujh ko gila-e-be-asarī
ḳhūn-e-dil shart hai tāsīr-e-vafā se pahle
badle badle se haiñ kuchh husn ke tevar aise
sar-nigūñ ishq hai iqrār-e-ḳhatā se pahle
dil meñ yuuñ hai tirī nikhrī huī zulfoñ kā ḳhayāl
jaise matl.a pe dhuñdalkā ho ghaTā se pahle
haa.e be-ḳhvābī-e-yak-umr-e-vafā kā ye ma.aal
so gayā maiñ tire dāman kī havā se pahle
hai vo bālīda-o-shādāb chaman tab.a-e-'sarosh'
phuul khilte haiñ jahāñ bād-e-sabā se pahle
shauq karta hai safar bang-e-dara se pahle
kan bajte hain mohabbat mein sada se pahle
shart itni hai ki takmil ho mahrumi ki
jalwa dikhlati hai tasir dua se pahle
ishq aur husn kisi ahd mein be-lag na the
mahwiyat shauq se shoKHi thi haya se pahle
muKHtasar zindagi-e-ishq ki rudad ye hai
maut aati hai kai bar qaza se pahle
is bure haal mein bhi pas-e-mohabbat dekho
dil ne dam toD diya KHun-e-wafa se pahle
zanu-e-dost pe rahat ye mili waqt-e-aKHir
lag gai aankh muri KHwab-e-fana se pahle
aaj hain fitna-e-dauran-o-qayamat aashob
wahi nazren jo na uThti thin haya se pahle
dastan husn-e-haqiqat ki thi rangin lekin
itni rangin na thi KHun-e-shohada se pahle
is kami par hai wo aalam ki ilahi tauba
hae kya chiz the tum tark-e-wafa se pahle
abhi zeba nahin tujh ko gila-e-be-asari
KHun-e-dil shart hai tasir-e-wafa se pahle
badle badle se hain kuchh husn ke tewar aise
sar-nigun ishq hai iqrar-e-KHata se pahle
dil mein yun hai teri nikhri hui zulfon ka KHayal
jaise matla pe dhundalka ho ghaTa se pahle
hae be-KHwabi-e-yak-umr-e-wafa ka ye maal
so gaya main tere daman ki hawa se pahle
hai wo baalida-o-shadab chaman taba-e-'sarosh'
phul khilte hain jahan baad-e-saba se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.