shauq ki be-maegi ka mujhko shikwa kuchh nahin
shauq kī be-mā.egī kā mujh ko shikva kuchh nahīñ
mere dāman meñ tirā ġham hai to phir kyā kuchh nahīñ
'ishq fitrat hai irāda be-irāda kuchh nahīñ
un kī jānib baḌh rahā huuñ aur sochā kuchh nahīñ
kal yahī dil thā jahāñ ātish-fishāñ sargarm the
ab yahī dil hai ki chingārī na sho'la kuchh nahīñ
jaane kyoñ uThtī haiñ nazreñ us kī jānib bār-bār
jis ke dāman se tamannāoñ kā rishta kuchh nahīñ
ab to ik barsoñ kī 'ādat khīñch laatī hai mujhe
ab tire kūche meñ aane kā bhī manshā kuchh nahīñ
dahr meñ jiine ko nā-kāfī hai 'umr-e-ḳhizr bhī
saare manzar dekh kar bhī jaise dekhā kuchh nahīñ
maslahat ke daur meñ fan kī parastish kā ḳhayāl
chhoḌiye 'afzal' ab in bātoñ meñ rakkhā kuchh nahīñ
shauq ki be-maegi ka mujh ko shikwa kuchh nahin
mere daman mein tera gham hai to phir kya kuchh nahin
'ishq fitrat hai irada be-irada kuchh nahin
un ki jaanib baDh raha hun aur socha kuchh nahin
kal yahi dil tha jahan aatish-fishan sargarm the
ab yahi dil hai ki chingari na sho'la kuchh nahin
jaane kyon uThti hain nazren us ki jaanib bar-bar
jis ke daman se tamannaon ka rishta kuchh nahin
ab to ek barson ki 'adat khinch lati hai mujhe
ab tere kuche mein aane ka bhi mansha kuchh nahin
dahr mein jine ko na-kafi hai 'umr-e-KHizr bhi
sare manzar dekh kar bhi jaise dekha kuchh nahin
maslahat ke daur mein fan ki parastish ka KHayal
chhoDiye 'afzal' ab in baaton mein rakkha kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.