shauq ki nigahon ka aaj imtihan kar len
shauq kī nigāhoñ kā aaj imtihāñ kar leñ
be-niyāz nazroñ ko dil kā rāzdāñ kar leñ
jis ke vāste barsoñ sa.ī-e-rā.egāñ kī hai
ab use bhulāne kī sa.ī-e-rā.egāñ kar leñ
rāzdārī-e-ulfat tā-ba-kai kare koī
sargirāñ hai vo yuuñ bhī aur sargirāñ kar leñ
aap ke liye koī dīn-o-dil luTā baiThā
ik nigāh-e-ḳhandāñ kā aap bhī ziyāñ kar leñ
aap se use nisbat aap se ta'alluq kyā
ā.īye zarā ham bhī zikr-e-āsmāñ kar leñ
ek musht-e-ḳhas par ye nūr-e-husn kī bārish
phir kisī tarah ta.amīr apnā āshiyāñ kar leñ
jis qadar mile kam hai dard-e-ishq kī daulat
har hikāyat-e-ġham ko apnī dāstāñ kar leñ
ḳhush-gumāniyāñ un kī vaj.h-e-be-niyāzī haiñ
ruḳhsat ai vafā-keshī kuchh to bad-gumāniyāñ kar leñ
hairat-e-nazāra hai pāsbān-e-chashm-o-dil
aap har karishma ko sarf-e-imtihāñ kar leñ
shauq ki nigahon ka aaj imtihan kar len
be-niyaz nazron ko dil ka raazdan kar len
jis ke waste barson sai-e-raegan ki hai
ab use bhulane ki sai-e-raegan kar len
raazdari-e-ulfat ta-ba-kai kare koi
sargiran hai wo yun bhi aur sargiran kar len
aap ke liye koi din-o-dil luTa baiTha
ek nigah-e-KHandan ka aap bhi ziyan kar len
aap se use nisbat aap se ta'alluq kya
aaiye zara hum bhi zikr-e-asman kar len
ek musht-e-KHas par ye nur-e-husn ki barish
phir kisi tarah tamir apna aashiyan kar len
jis qadar mile kam hai dard-e-ishq ki daulat
har hikayat-e-gham ko apni dastan kar len
KHush-gumaniyan un ki wajh-e-be-niyazi hain
ruKHsat ai wafa-keshi kuchh to bad-gumaniyan kar len
hairat-e-nazara hai pasban-e-chashm-o-dil
aap har karishma ko sarf-e-imtihan kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.