shauq se furqat-e-saqi mein main saghar ke ewaz
shauq se furqat-e-saqi mein main saghar ke ewaz
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
shauq se furqat-e-sāqī meñ maiñ sāġhar ke evaz
ashk pī jaatā huuñ maiñ bāda-e-ahmar ke evaz
zulf ko chuum ke lām-e-lab-e-dilbar ke evaz
zahr khā lete haiñ ham qand-e-mukarrar ke evaz
kho ke dil bosa-e-lām-e-lab-e-dilbar ke evaz
mīm-e-mahrūm hue mīm-e-muqaddar ke evaz
dekh o qātil-e-be-rahm garebāñ merā
bose letā hai gulū ke lab-e-ḳhanjar ke evaz
shauq-e-ārā.ish-e-ruḳh ho to pahan lo ai jaan
ashk dāman se uThā kar mire gauhar ke evaz
aabrū paa.ī bun-e-gosh-e-sanam se mil kar
dāna-e-ashk ne kyā dāna-e-gauhar ke evaz
bār-e-ehsāñ ne tire yaar jhukāyā aisā
paañv par aa ga.ī dastār mirī sar ke evaz
be-takalluf tirī shamshīr mujhe ai qātil
zevar-e-zaḳhm pinhā detī hai zevar ke evaz
ḳhāksārān-e-mohabbat ko tire kūche meñ
haath aa.ī hai zamīñ gor ke bistar ke evaz
dekhtā kyā hai mire qatl ke baad ai qātil
qatra-e-ḳhūñ haiñ tirī teġh meñ jauhar ke evaz
parvarish bād-e-fanā jism kī karne ke liye
dāman-e-gor milā dāman-e-mādar ke evaz
jalve dikhlāne lagī saf.ha-e-tan par kyā kyā
fart-e-kāhish se har ik rag rag-e-mistar ke evaz
bāda-e-rashk se labrez huā ai saaqī
halqa-e-chashm mirā halqa-e-sāġhar ke evaz
ātish-e-rashk ne jis vaqt kiyā sard mujhe
tan mirā garm rahā sīna-e-mijmar ke evaz
jā pahuñchtā hai ḳhayāl-e-dil-e-nādāñ us tak
jazb-e-kāmil se shab-e-ġham meñ paiġhambar ke evaz
chashm-e-zāhir se to kyā dīda-e-bātin se kabhī
rū-e-mahtāb na dekhūñ ruḳh-e-dilbar ke evaz
ātish-e-rashk se hai parvarish-e-dil har dam
aap ke ishq meñ ai yaar samundar ke evaz
kyā laḌā.ūñ tirī āñkhoñ se maiñ ai jaan āñkheñ
chādar-e-ashk mire muñh pe hai chādar ke evaz
dur-e-dandāñ ke tasavvur meñ luTā kar dur-e-ashk
mīm-e-muflis hue ham tā-e-tavañgar ke evaz
hukm detā hai 'shagufta' mujhe mai-noshī kā
halqa-e-chashm mirā hijr meñ 'sāġhar' ke evaz
shauq se furqat-e-saqi mein main saghar ke ewaz
ashk pi jata hun main baada-e-ahmar ke ewaz
zulf ko chum ke lam-e-lab-e-dilbar ke ewaz
zahr kha lete hain hum qand-e-mukarrar ke ewaz
kho ke dil bosa-e-lam-e-lab-e-dilbar ke ewaz
mim-e-mahrum hue mim-e-muqaddar ke ewaz
dekh o qatil-e-be-rahm gareban mera
bose leta hai gulu ke lab-e-KHanjar ke ewaz
shauq-e-araish-e-ruKH ho to pahan lo ai jaan
ashk daman se uTha kar mere gauhar ke ewaz
aabru pai bun-e-gosh-e-sanam se mil kar
dana-e-ashk ne kya dana-e-gauhar ke ewaz
bar-e-ehsan ne tere yar jhukaya aisa
panw par aa gai dastar meri sar ke ewaz
be-takalluf teri shamshir mujhe ai qatil
zewar-e-zaKHm pinha deti hai zewar ke ewaz
KHaksaran-e-mohabbat ko tere kuche mein
hath aai hai zamin gor ke bistar ke ewaz
dekhta kya hai mere qatl ke baad ai qatil
qatra-e-KHun hain teri tegh mein jauhar ke ewaz
parwarish baad-e-fana jism ki karne ke liye
daman-e-gor mila daman-e-madar ke ewaz
jalwe dikhlane lagi safha-e-tan par kya kya
fart-e-kahish se har ek rag rag-e-mistar ke ewaz
baada-e-rashk se labrez hua ai saqi
halqa-e-chashm mera halqa-e-saghar ke ewaz
aatish-e-rashk ne jis waqt kiya sard mujhe
tan mera garm raha sina-e-mijmar ke ewaz
ja pahunchta hai KHayal-e-dil-e-nadan us tak
jazb-e-kaamil se shab-e-gham mein paighambar ke ewaz
chashm-e-zahir se to kya dida-e-baatin se kabhi
ru-e-mahtab na dekhun ruKH-e-dilbar ke ewaz
aatish-e-rashk se hai parwarish-e-dil har dam
aap ke ishq mein ai yar samundar ke ewaz
kya laDaun teri aankhon se main ai jaan aankhen
chadar-e-ashk mere munh pe hai chadar ke ewaz
dur-e-dandan ke tasawwur mein luTa kar dur-e-ashk
mim-e-muflis hue hum ta-e-tawangar ke ewaz
hukm deta hai 'shagufta' mujhe mai-noshi ka
halqa-e-chashm mera hijr mein 'saghar' ke ewaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.