sher banana mera KHud ko banana bhi hai
sher banānā mirā ḳhud ko banānā bhī hai
ye jo hai alfāz meñ merā zamāna bhī hai
tujh ko hai is dasht ko shahr banāne kī dhun
dekh isī dasht meñ terā divāna bhī hai
sub.h ke sho.ale ke saath ḳhud ko lagānī hai aag
shaam ke paanī ke saath ḳhud ko bujhānā bhī hai
us ko to mere sivā aur bhī kitne haiñ kaam
so use aanā to hai phir kahīñ jaanā bhī hai
ishq se baaz aa.e ham us se chalo kah ke aa.eñ
ab to mulāqāt kā ek bahāna bhī hai
sher banana mera KHud ko banana bhi hai
ye jo hai alfaz mein mera zamana bhi hai
tujh ko hai is dasht ko shahr banane ki dhun
dekh isi dasht mein tera diwana bhi hai
subh ke shoale ke sath KHud ko lagani hai aag
sham ke pani ke sath KHud ko bujhana bhi hai
us ko to mere siwa aur bhi kitne hain kaam
so use aana to hai phir kahin jaana bhi hai
ishq se baz aae hum us se chalo kah ke aaen
ab to mulaqat ka ek bahana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.