sher-o-suKHan pe baat ho zariya koi to ho
sher-o-suKHan pe baat ho zariya koi to ho
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
sher-o-suḳhan pe baat ho zarīya koī to ho
rātoñ ko jāgne kā bahāna koī to ho
ḳhush-rang ḳhvāb duur khaḌe muntazir haiñ yaar
āñkhoñ meñ ḳhushbuoñ kā darīcha koī to ho
phir intiḳhāb dasht meñ merā kiyā gayā
kahtā thā qais kaam kā banda koī to ho
ai mālik-e-azīm tire is jahān meñ
jhūTe to be-shumār haiñ sachchā koī to ho
us ḳhush-badan ke qurb ke lamhe nasīb hoñ
aisā hamāre saath karishma koī to ho
dukh aaj mujh ko haal batāte haiñ is tarah
ḳhāmosh ho ga.e ho tamāshā koī to ho
kis ke supurd kar ke ye māl-o-matā' chalūñ
merī udāsiyoñ ko muhayyā koī to ho
zād-e-safar meñ rakh liyā ham ne tumhārā naam
raste meñ apne paas havāla koī to ho
mujh ko bhī dekhne haiñ ḳhudā ke na.e jahān
hijrat kā mere yaar vasīla koī to ho
rakkhī huī haiñ vaqt kī ghaḌiyāñ sameT kar
in meñ tire visāl kā lamha koī to ho
jaanā hai qāfiloñ ne ziyārat ke shauq meñ
lekin pahuñchne ke liye rasta koī to ho
terā jo dil nahīñ hai to phir ġhair hī sahī
nākām ḳhvāhishoñ kā Thikāna koī to ho
sher-o-suKHan pe baat ho zariya koi to ho
raaton ko jagne ka bahana koi to ho
KHush-rang KHwab dur khaDe muntazir hain yar
aankhon mein KHushbuon ka daricha koi to ho
phir intiKHab dasht mein mera kiya gaya
kahta tha qais kaam ka banda koi to ho
ai malik-e-azim tere is jahan mein
jhuTe to be-shumar hain sachcha koi to ho
us KHush-badan ke qurb ke lamhe nasib hon
aisa hamare sath karishma koi to ho
dukh aaj mujh ko haal batate hain is tarah
KHamosh ho gae ho tamasha koi to ho
kis ke supurd kar ke ye mal-o-mata' chalun
meri udasiyon ko muhayya koi to ho
zad-e-safar mein rakh liya hum ne tumhaara nam
raste mein apne pas hawala koi to ho
mujh ko bhi dekhne hain KHuda ke nae jahan
hijrat ka mere yar wasila koi to ho
rakkhi hui hain waqt ki ghaDiyan sameT kar
in mein tere visal ka lamha koi to ho
jaana hai qafilon ne ziyarat ke shauq mein
lekin pahunchne ke liye rasta koi to ho
tera jo dil nahin hai to phir ghair hi sahi
nakaam KHwahishon ka Thikana koi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.