Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiar dard ko gham ko usul kar bhi liya

Sajid Raheem

shiar dard ko gham ko usul kar bhi liya

Sajid Raheem

MORE BYSajid Raheem

    shi'ār dard ko ġham ko usuul kar bhī liyā

    kahā bhī 'ishq ko kār-e-fuzūl kar bhī liyā

    tujhe abhī hai ta.ammul jise sunāne meñ

    tirā vo faisla ham ne qubūl kar bhī liyā

    tamām shahr mire hoñT chūmne aayā

    kabhī jo naam tirā maiñ ne bhuul kar bhī liyā

    zamāna us ko mirā mo'jiza shumār kare

    uThe na paañv bhī raste ko dhuul kar bhī liyā

    galī galī meñ mahak mere she'r pahuñchī

    'atā jo zaḳhm hue un ko phuul kar bhī liyā

    vo aañkh bhejtī thī saiñkaḌoñ payām mujhe

    ik-ādh baar to maiñ ne vasūl kar bhī liyā

    abhī to Thiik se aa.ī nahīñ thī saañs mujhe

    ki agle she'r ne dil par nuzūl kar bhī liyā

    churā ke le ga.ī ḳhushbū kalī ke khilte

    havā ne phuul se bhatta vasūl kar bhī liyā

    shi'ar dard ko gham ko usul kar bhi liya

    kaha bhi 'ishq ko kar-e-fuzul kar bhi liya

    tujhe abhi hai tammul jise sunane mein

    tera wo faisla hum ne qubul kar bhi liya

    tamam shahr mere honT chumne aaya

    kabhi jo nam tera main ne bhul kar bhi liya

    zamana us ko mera mo'jiza shumar kare

    uThe na panw bhi raste ko dhul kar bhi liya

    gali gali mein mahak mere she'r ki pahunchi

    'ata jo zaKHm hue un ko phul kar bhi liya

    wo aankh bhejti thi sainkaDon payam mujhe

    ik-adh bar to main ne wasul kar bhi liya

    abhi to Thik se aai nahin thi sans mujhe

    ki agle she'r ne dil par nuzul kar bhi liya

    chura ke le gai KHushbu kali ke khilte hi

    hawa ne phul se bhatta wasul kar bhi liya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now