shiddat bahaar ki bhi gawara nahin mujhe
shiddat bahār kī bhī gavārā nahīñ mujhe
phūloñ ke toḌne kā bhī yaarā nahīñ mujhe
maujoñ se kheltā huuñ irādoñ kā daur hai
maujoñ meñ ārzū-e-kināra nahīñ mujhe
maiñ gir paḌā thā raah meñ chalte hue magar
phir bhī to dostoñ ne pukārā nahīñ mujhe
kis din chubhī nahīñ haiñ masā.ib kī kirchiyāñ
kis din tumhāre ġham ne sañvārā nahīñ mujhe
rahtā huuñ ārzūoñ ke chhoTe se shahr meñ
ḳhush huuñ ki ārzū-e-buḳhārā nahīñ mujhe
tum merī jaañ ho jaañ kā bharosā magar nahīñ
ya.anī ki e'tibār tumhārā nahīñ mujhe
shiddat bahaar ki bhi gawara nahin mujhe
phulon ke toDne ka bhi yara nahin mujhe
maujon se khelta hun iradon ka daur hai
maujon mein aarzu-e-kinara nahin mujhe
main gir paDa tha rah mein chalte hue magar
phir bhi to doston ne pukara nahin mujhe
kis din chubhi nahin hain masaib ki kirchiyan
kis din tumhaare gham ne sanwara nahin mujhe
rahta hun aarzuon ke chhoTe se shahr mein
KHush hun ki aarzu-e-buKHara nahin mujhe
tum meri jaan ho jaan ka bharosa magar nahin
yani ki e'tibar tumhaara nahin mujhe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 387)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.