shiddat bala ki hoti hai jis waqt pyas mein
shiddat balā kī hotī hai jis vaqt pyaas meñ
dariyā dikhā.ī detā hai ḳhālī gilās meñ
vo chiiz DhūñDne se bhī miltī hai phir kahāñ
jo chiiz khoī jaatī hai hosh-o-havās meñ
un rāstoñ se ham ko guzārā fareb ne
kāñTe chhupe hue the jahāñ narm ghaas meñ
bekār kar rahe haiñ shikāyat nasīb se
resham ke kiiḌe pālne vaale kapās meñ
ham ne qalam kī nok chalā kar dimāġh par
Tāñke haiñ bel buuTe ġhazal ke libās meñ
ai 'chāñd' merī samt abhī apnā ruḳh na kar
is vaqt koī aur hai mere qayās meñ
shiddat bala ki hoti hai jis waqt pyas mein
dariya dikhai deta hai KHali gilas mein
wo chiz DhunDne se bhi milti hai phir kahan
jo chiz khoi jati hai hosh-o-hawas mein
un raston se hum ko guzara fareb ne
kanTe chhupe hue the jahan narm ghas mein
bekar kar rahe hain shikayat nasib se
resham ke kiDe palne wale kapas mein
hum ne qalam ki nok chala kar dimagh par
Tanke hain bel buTe ghazal ke libas mein
ai 'chand' meri samt abhi apna ruKH na kar
is waqt koi aur hai mere qayas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.