shiddat-e-gham mein bhi meri ruh ko taskin hai
shiddat-e-gham mein bhi meri ruh ko taskin hai
Shaikh Husain Salik
MORE BYShaikh Husain Salik
shiddat-e-ġham meñ bhī merī ruuh ko taskīn hai
dil ke luT jaane kā yuuñ to vāqi.a sangīn hai
mah-vashoñ kā ye nayā tarz-e-sitam to dekhiye
pūchhte haiñ vo ki ye kis baat par ġhamgīñ hai
baḌh ga.ī hai phuul aur kaliyoñ se kuchh raunaq zarūr
mere hone se ye duniyā kis qadar rangīn hai
kuchh na kuchh baaqī haiñ shāyad aur bhī zulm-o-sitam
kaun jaane kis liye phir sabr kī talqīn hai
log kahte haiñ ki shā.ir kā koī maz.hab nahīñ
husn hai īmān merā ishq merā diin hai
haiñ bahut 'sālik' qamar meñ daaġh dhabbe is liye
chāñd se tashbīh denā husn kī tauhīn hai
shiddat-e-gham mein bhi meri ruh ko taskin hai
dil ke luT jaane ka yun to waqia sangin hai
mah-washon ka ye naya tarz-e-sitam to dekhiye
puchhte hain wo ki ye kis baat par ghamgin hai
baDh gai hai phul aur kaliyon se kuchh raunaq zarur
mere hone se ye duniya kis qadar rangin hai
kuchh na kuchh baqi hain shayad aur bhi zulm-o-sitam
kaun jaane kis liye phir sabr ki talqin hai
log kahte hain ki shair ka koi mazhab nahin
husn hai iman mera ishq mera din hai
hain bahut 'salik' qamar mein dagh dhabbe is liye
chand se tashbih dena husn ki tauhin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.