shiddat-e-gham mein hum muskurane lage
shiddat-e-ġham meñ ham muskurāne lage
log āñkhoñ se aañsū bahāne lage
sun ke afsāna saarā mirī ziist kā
āḳhirash ashk kyoñ vo bahāne lage
un kā maiñ ho gayā vo mire ho ga.e
lekin itne safar meñ zamāne lage
saath kāñToñ pe kaise chaleñge bhalā
vo jo dāman ko apne bachāne lage
ittifāqan satā.ish jo kī aap ne
hosh kitnoñ ke dekho Thikāne lage
saath us ke to kal tak jo chalte rahe
aaj 'rahbar' se kyoñ duur jaane lage
shiddat-e-gham mein hum muskurane lage
log aankhon se aansu bahane lage
sun ke afsana sara meri zist ka
aaKHirash ashk kyon wo bahane lage
un ka main ho gaya wo mere ho gae
lekin itne safar mein zamane lage
sath kanTon pe kaise chalenge bhala
wo jo daman ko apne bachane lage
ittifaqan sataish jo ki aap ne
hosh kitnon ke dekho Thikane lage
sath us ke to kal tak jo chalte rahe
aaj 'rahbar' se kyon dur jaane lage
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 78)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.