Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shiddat-e-gham se meri jaan pe ban aai hai

Shahid Najibabadi

shiddat-e-gham se meri jaan pe ban aai hai

Shahid Najibabadi

MORE BYShahid Najibabadi

    shiddat-e-ġham se mirī jaan pe ban aa.ī hai

    aur udhar us ne na aane qasam khaa.ī hai

    dekh le kyā banī durgat tire dīvāne

    tifl haiñ sang-ba-dast shahr tamāshā.ī hai

    maiñ duā māñgūñ ḳhudā us ko amaañ meñ rakkhe

    aur use mere taḌapne adā bhaa.ī hai

    us ke haiñ saare takalluf ruḳh-e-zebā ke liye

    zulf kab us ne mire vāste suljhā.ī hai

    zahr-e-ġham mujh ko pilātā rahā jur.a jur.a

    vaah kyā kahnā kyā andāz-e-masīhā.ī hai

    ne zid to sunā thī kahānī apnī

    ham-nashīñ aañkh tirī kis liye bhar aa.ī hai

    kar liyā raunaq-e-duniyā se kinārā 'shāhid'

    ik tirī yaad hai or gosha-e-tanhā.ī hai

    shiddat-e-gham se meri jaan pe ban aai hai

    aur udhar us ne na aane ki qasam khai hai

    dekh le kya bani durgat tere diwane ki

    tifl hain sang-ba-dast shahr tamashai hai

    main dua mangun KHuda us ko aman mein rakkhe

    aur use mere taDapne ki ada bhai hai

    us ke hain sare takalluf ruKH-e-zeba ke liye

    zulf kab us ne mere waste suljhai hai

    zahr-e-gham mujh ko pilata raha jura jura

    wah kya kahna kya andaz-e-masihai hai

    tu ne ki zid to suna di thi kahani apni

    ham-nashin aankh teri kis liye bhar aai hai

    kar liya raunaq-e-duniya se kinara 'shahid'

    ek teri yaad hai or gosha-e-tanhai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now