shiddat-e-nafrat ho dil mein aur amal nafrin-tar
shiddat-e-nafrat ho dil meñ aur amal nafrīn-tar
ḳhud-baḳhud hote haiñ phir hālāt bhī sangīn-tar
itnī ashk-āvar nigāhoñ se milī bād-e-sabā
ho ga.ī hai shahr kī saarī fazā namkīn-tar
bāñTte the jo kabhī ab ḳhud savālī ban ga.e
dekhte hī dekhte sab ho ga.e miskīn-tar
jab kabhī is sar-zamīñ pe maiñ ne haq kī baat kī
apne hī ḳhuuñ se huā chehra mirā rañgīn-tar
shahr-e-dil kī har galī meñ nāla-o-fariyād hai
pahle dekhā thā use ġhamgīñ ab ġhamgīñ-tar
jaane kaise ho ga.ī kaḌvī samā.at ke liye
baat niklī thī agarche zer-e-lab shīrīn-tar
shauq-e-nazzāra meñ garche dil thā merā mubtalā
us ko phir terī tajallī ne kiyā shauqīn-tar
tamkanat apne suḳhan meñ thī bahut garche 'shakīl'
rafta rafta ho gayā merā suḳhan tamkīn-tar
shiddat-e-nafrat ho dil mein aur amal nafrin-tar
KHud-baKHud hote hain phir haalat bhi sangin-tar
itni ashk-awar nigahon se mili baad-e-saba
ho gai hai shahr ki sari faza namkin-tar
banTte the jo kabhi ab KHud sawali ban gae
dekhte hi dekhte sab ho gae miskin-tar
jab kabhi is sar-zamin pe main ne haq ki baat ki
apne hi KHun se hua chehra mera rangin-tar
shahr-e-dil ki har gali mein nala-o-fariyaad hai
pahle dekha tha use ghamgin ab ghamgin-tar
jaane kaise ho gai kaDwi samaat ke liye
baat nikli thi agarche zer-e-lab shirin-tar
shauq-e-nazzara mein garche dil tha mera mubtala
us ko phir teri tajalli ne kiya shauqin-tar
tamkanat apne suKHan mein thi bahut garche 'shakil'
rafta rafta ho gaya mera suKHan tamkin-tar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.