shiddat-e-ranj-o-alam mera muqaddar Thahri
shiddat-e-ranj-o-alam merā muqaddar Thahrī
shām-e-ġham haa.e sitam merā muqaddar Thahrī
dil kī duniyā meñ ye vīrāna nasība hai mirā
us pe phir aañkh ye nam merā muqaddar Thahrī
hālat-e-dil meñ tirā haath nahīñ hai koī
yahī barbādī sanam merā muqaddar Thahrī
zehn-o-dil sub.h-e-azal se haiñ giraftār-e-balā
ziist kī kākul-e-ḳham merā muqaddar Thahrī
na tirā lutf mire hisse meñ aaya zālim
na tirī chashm-e-karam merā muqaddar Thahrī
ḳhvāhish-e-sub.h-e-masarrat thī hamesha se mujhe
aur phir shām-e-alam merā muqaddar Thahrī
ai 'sanā' mujh ko charāġhoñ se shikāyat hī nahīñ
tīrgī-e-shab-e-ġham merā muqaddar Thahrī
shiddat-e-ranj-o-alam mera muqaddar Thahri
sham-e-gham hae sitam mera muqaddar Thahri
dil ki duniya mein ye virana nasiba hai mera
us pe phir aankh ye nam mera muqaddar Thahri
haalat-e-dil mein tera hath nahin hai koi
yahi barbaadi sanam mera muqaddar Thahri
zehn-o-dil subh-e-azal se hain giraftar-e-bala
zist ki kakul-e-KHam mera muqaddar Thahri
na tera lutf mere hisse mein aaya zalim
na teri chashm-e-karam mera muqaddar Thahri
KHwahish-e-subh-e-masarrat thi hamesha se mujhe
aur phir sham-e-alam mera muqaddar Thahri
ai 'sana' mujh ko charaghon se shikayat hi nahin
tirgi-e-shab-e-gham mera muqaddar Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.