shiddat-e-tishna-labi jo usko bhaTkati nahin
shiddat-e-tishna-labī jo us ko bhaTkātī nahīñ
to nadī koī samundar kī taraf jaatī nahīñ
zindagī meñ aa.e din baḌhte masā.il kā sabab
'aql ko dil aur dil ko 'aql samjhātī nahīñ
josh meñ aa kar yahāñ par hosh kho dete haiñ log
maiñ bhī jazbātī huuñ lekin itnā jazbātī nahīñ
zindagī meñ tū nahīñ to zindagī hai be-mazā
vo diyā kis kaam kā jis kī koī baatī nahīñ
jitne ġham haiñ sab ke sab baḳhshe mujhe aġhyār ne
sach kahūñ to merā apnā koī ġham zaatī nahīñ
ye sitam ye zulm to Dhaa.e haiñ 'rāhib' chhāñv ne
dhuup se koī kalī gulshan meñ murjhātī nahīñ
shiddat-e-tishna-labi jo us ko bhaTkati nahin
to nadi koi samundar ki taraf jati nahin
zindagi mein aae din baDhte masail ka sabab
'aql ko dil aur dil ko 'aql samjhati nahin
josh mein aa kar yahan par hosh kho dete hain log
main bhi jazbaati hun lekin itna jazbaati nahin
zindagi mein tu nahin to zindagi hai be-maza
wo diya kis kaam ka jis ki koi baati nahin
jitne gham hain sab ke sab baKHshe mujhe aghyar ne
sach kahun to mera apna koi gham zati nahin
ye sitam ye zulm to Dhae hain 'rahib' chhanw ne
dhup se koi kali gulshan mein murjhati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.