shiddat se maine KHud ko ubhaara zamin par
shiddat se maiñ ne ḳhud ko ubhārā zamīn par
saayā magar banā hai tumhārā zamīn par
aa kar vo is tarah mirī bāhoñ meñ gir gayā
girtā hai jaise TuuT ke taara zamīn par
rang-e-bahār ab ke ḳhizāñ le ke uḌ ga.ī
chhoḌā nahīñ hai koī nazārā zamīn par
dekhā zamīn par to nigāheñ jhulas uThīñ
aks-e-badan hai terā sharāra zamīn par
vahshat ne āsmān pe mujh ko biThā diyā
ḳhuddāriyoñ ne phir se utārā zamīn par
likh likh ke pheñk Daale haiñ tujh ko hazār ḳhat
yuuñ apne dil kā bojh utārā zamīn par
āñkhoñ ne ashk-e-yās bahā.e to pī ga.e
karnā paḌā hai yuuñ bhī guzārā zamīn par
ḳhāmoshiyāñ bhī chīḳh rahī haiñ sadāoñ meñ
maarā gayā hai dard kā maarā zamīn par
bādal tamām ab ke samundar meñ jā gire
ye kis ne āñsuoñ ko pukārā zamīn par
ik āshiyāñ falak pe banā.eñge ham 'azān'
jī tang aa gayā hai hamārā zamīn par
shiddat se main ne KHud ko ubhaara zamin par
saya magar bana hai tumhaara zamin par
aa kar wo is tarah meri bahon mein gir gaya
girta hai jaise TuT ke tara zamin par
rang-e-bahaar ab ke KHizan le ke uD gai
chhoDa nahin hai koi nazara zamin par
dekha zamin par to nigahen jhulas uThin
aks-e-badan hai tera sharara zamin par
wahshat ne aasman pe mujh ko biTha diya
KHuddariyon ne phir se utara zamin par
likh likh ke phenk Dale hain tujh ko hazar KHat
yun apne dil ka bojh utara zamin par
aankhon ne ashk-e-yas bahae to pi gae
karna paDa hai yun bhi guzara zamin par
KHamoshiyan bhi chiKH rahi hain sadaon mein
mara gaya hai dard ka mara zamin par
baadal tamam ab ke samundar mein ja gire
ye kis ne aansuon ko pukara zamin par
ek aashiyan falak pe banaenge hum 'azan'
ji tang aa gaya hai hamara zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.