shiddat se mujhse hath chhuDane ke bawajud
shiddat se mujh se haath chhuḌāne ke bāvajūd
thoḌā sā rah gayā hai vo jaane ke bāvajūd
apne safar ke vaqt meñ tanhā hī rah gayā
ik 'umr dostoñ pe luTāne ke bāvajūd
koī savāl zindagī kā hal nahīñ huā
paḌhne meñ saarī 'umr gañvāne ke bāvajūd
apnā ham ek shaḳhs ikaTThā na kar sake
apnoñ ke biich shor machāne ke bāvajūd
lailā nahīñ milī so maiñ majnūñ na ban sakā
sahrā meñ ḳhuub ḳhaak uḌāne ke bāvajūd
hairat hai mere haath salāmat haiñ ab talak
sho'la-badan ko haath lagāne ke bāvajūd
shiddat se mujh se hath chhuDane ke bawajud
thoDa sa rah gaya hai wo jaane ke bawajud
apne safar ke waqt mein tanha hi rah gaya
ek 'umr doston pe luTane ke bawajud
koi sawal zindagi ka hal nahin hua
paDhne mein sari 'umr ganwane ke bawajud
apna hum ek shaKHs ikaTTha na kar sake
apnon ke bich shor machane ke bawajud
laila nahin mili so main majnun na ban saka
sahra mein KHub KHak uDane ke bawajud
hairat hai mere hath salamat hain ab talak
sho'la-badan ko hath lagane ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.