shigaf-e-KHana-e-dil se hi raushni aai
shigaf-e-KHana-e-dil se hi raushni aai
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
shigāf-e-ḳhāna-e-dil se hī raushnī aa.ī
use to aanā thā har haal meñ chalī aa.ī
kahīñ ḳhudā na bane mujh se ḳhauf-e-hijr-e-azīz
kabhī rulā.ī kabhī soch ke hañsī aa.ī
uchhal rahī thiiñ bahut machhliyāñ sī āñkhoñ meñ
jo Daalā jaal to khiñchtī huī nadī aa.ī
havā ke haath jale ik diyā jalāne meñ
vo saarī bastī jalātī huī chalī aa.ī
vo apne saath ka.ī saa.e le ke Dūbegā
yahī umiid dar-e-‘shams’ se lagī aa.ī
shigaf-e-KHana-e-dil se hi raushni aai
use to aana tha har haal mein chali aai
kahin KHuda na bane mujh se KHauf-e-hijr-e-aziz
kabhi rulai kabhi soch ke hansi aai
uchhal rahi thin bahut machhliyan si aankhon mein
jo Dala jal to khinchti hui nadi aai
hawa ke hath jale ek diya jalane mein
wo sari basti jalati hui chali aai
wo apne sath kai sae le ke Dubega
yahi umid dar-e-‘shams’ se lagi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.