shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale
shīrāz kī mai marv ke yāqūt sambhāle
maiñ koh-e-damāvand se aa pahuñchā himāle
hove to rahe shīsha-o-āhan kī hukūmat
kāñsī kī mirī teġh hai miTTī ke pyāle
har shaḳhs ba-andāz-e-digar vāsil-e-shak thā
uTThā maiñ tirī bazm se īqān sambhāle
ab ishq-e-navardī hī Thikāne se lagā.e
sho'la na jalā.e mujhe girdāb uchhāle
hone kī ḳhabar bhī na tirā hijr-zada de
bhar leve kabhī aah kabhī sham' jalā le
bose kā talazzuz ho kabhī tauf kī rāhat
armān mirā ye dil-e-kāfir bhī nikāle
ib.hām ke reshoñ se banā bāġh-e-taḳhayyul
ho jaa.e kabhī chashm-e-tahayyur ke havāle
shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale
main koh-e-damawand se aa pahuncha himale
howe to rahe shisha-o-ahan ki hukumat
kansi ki meri tegh hai miTTi ke pyale
har shaKHs ba-andaz-e-digar wasil-e-shak tha
uTTha main teri bazm se iqan sambhaale
ab ishq-e-nawardi hi Thikane se lagae
sho'la na jalae mujhe girdab uchhaale
hone ki KHabar bhi na tera hijr-zada de
bhar lewe kabhi aah kabhi sham' jala le
bose ka talazzuz ho kabhi tauf ki rahat
arman mera ye dil-e-kafir bhi nikale
ibham ke reshon se bana bagh-e-taKHayyul
ho jae kabhi chashm-e-tahayyur ke hawale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.