shiraaza-e-wajud bikharne nahin diya
shīrāza-e-vajūd bikharne nahīñ diyā
dariyā-e-ḳhvāb-e-shahr utarne nahīñ diyā
kuchh ko na karnī aa.ī salīqe se zindagī
aur zindagī ke shauq ne marne nahīñ diyā
jis meñ kuchh iḳhtiyār ke chehre dikhā.ī deñ
vo aa.ina hī ā.ina-gar ne nahīñ diyā
kachche ghaḌe kā kachchā sahārā na DhūñDhiye
us ne kisī ko paar utarne nahīñ diyā
jab us ko bhūlnā hai to itnā bhī rabt kyoñ
dil ne phir us galī se guzarne nahīñ diyā
vo qatra qatra dil pe baraste haiñ roz-o-shab
jin āñsuoñ se aañkh ko bharne nahīñ diyā
ik aas hai ki ḳhvāhisheñ bāñdhī haiñ jis ke saath
ik ḳhvāb hai ki jis ko bikharne nahīñ diyā
shiraaza-e-wajud bikharne nahin diya
dariya-e-KHwab-e-shahr utarne nahin diya
kuchh ko na karni aai saliqe se zindagi
aur zindagi ke shauq ne marne nahin diya
jis mein kuchh iKHtiyar ke chehre dikhai den
wo aaina hi aaina-gar ne nahin diya
kachche ghaDe ka kachcha sahaara na DhunDhiye
us ne kisi ko par utarne nahin diya
jab us ko bhulna hai to itna bhi rabt kyon
dil ne phir us gali se guzarne nahin diya
wo qatra qatra dil pe baraste hain roz-o-shab
jin aansuon se aankh ko bharne nahin diya
ek aas hai ki KHwahishen bandhi hain jis ke sath
ek KHwab hai ki jis ko bikharne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.