shish-mahal ki oT se chhup kar kuTiya par yalghaar karegi
shīsh-mahal kī oT se chhup kar kuTiyā par yalġhār karegī
ya.anī ik zardār kī beTī ik nirdhan se pyaar karegī
galī galī danke pīTegī nagar nagar parchār karegī
jaan rahā huuñ mujh ko rusvā tū bhī sar-e-bāzār karegī
ishq kī azmat ke afsāne insānī aqdār kī bāteñ
vo harjā.ī kyā jānegī paisoñ se jo pyaar karegī
iisā aur suqrāt na banñā varna ik din tum ko duniyā
haath meñ zahr kā pyāla de kar zeb-e-salīb-o-dār karegī
ab ke phir jo kaal paḌā to har albelī gaañv kī gorī
phir se sonā-gāchhī jākar tan kā kārobār karegī
'ashk' mujhe kab is kī ḳhabar thī ik paglī gūñgī sī laḌkī
raat huī to lorī degī sub.h mujhe bedār karegī
shish-mahal ki oT se chhup kar kuTiya par yalghaar karegi
yani ek zardar ki beTi ek nirdhan se pyar karegi
gali gali danke piTegi nagar nagar parchaar karegi
jaan raha hun mujh ko ruswa tu bhi sar-e-bazar karegi
ishq ki azmat ke afsane insani aqdar ki baaten
wo harjai kya jaanegi paison se jo pyar karegi
isa aur suqraat na banna warna ek din tum ko duniya
hath mein zahr ka pyala de kar zeb-e-salib-o-dar karegi
ab ke phir jo kal paDa to har albeli ganw ki gori
phir se sona-gachhi jakar tan ka karobar karegi
'ashk' mujhe kab is ki KHabar thi ek pagli gungi si laDki
raat hui to lori degi subh mujhe bedar karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.