shisha-e-dil mein tere waste baal aaya kyun
shīsha-e-dil meñ tire vāste baal aayā kyuuñ
ye mujhe tujh se na milne kā ḳhayāl aayā kyuuñ
maiñ to ḳhush thā ki tirā maan rakhā hai maiñ ne
tere chehre pe magar aks-e-malāl aayā kyuuñ
aur bhī ġham the magar ek nayā ġham ye hai
maiñ tire sāmne yuuñ ġham se niDhāl aayā kyuuñ
kaise is dil ko mire chain milā avval-e-shab
dard kī surma.ī shāmoñ pe zavāl aayā kyuuñ
sirf ik kār-e-mohabbat thā jo karnā thā mujhe
apne zimme ka.ī kaam aur nikāl aayā kyuuñ
ik sitāra mirī dahlīz pe TuuTā kaise
ik samundar ko mire dar pe ubaal aayā kyuuñ
us kī ma.asūm nigāhoñ meñ na thā jis kā javāb
mere hoñToñ pe vahī harf-e-savāl aayā kyuuñ
shisha-e-dil mein tere waste baal aaya kyun
ye mujhe tujh se na milne ka KHayal aaya kyun
main to KHush tha ki tera man rakha hai main ne
tere chehre pe magar aks-e-malal aaya kyun
aur bhi gham the magar ek naya gham ye hai
main tere samne yun gham se niDhaal aaya kyun
kaise is dil ko mere chain mila awwal-e-shab
dard ki surmai shamon pe zawal aaya kyun
sirf ek kar-e-mohabbat tha jo karna tha mujhe
apne zimme kai kaam aur nikal aaya kyun
ek sitara meri dahliz pe TuTa kaise
ek samundar ko mere dar pe ubaal aaya kyun
us ki masum nigahon mein na tha jis ka jawab
mere honTon pe wahi harf-e-sawal aaya kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.