shisha-sifat the aap aur shisha-sifat the hum
shīsha-sifat the aap aur shīsha-sifat the ham
bikhre hue se aap haiñ bikhre hue se ham
us ne thamā dī haath meñ ik bāñsurī hameñ
patthar uThā ke haath meñ dene lage the ham
maujūd hai tirī tarah vo paas bhī nahīñ
kaise kaheñ ye baat ab pāgal havā se ham
har shaḳhs thā tirī taraf terī hī bazm thī
kis ko sunāte phir tire qisse jafā ke ham
terī kisī murād kī ḳhātir mire raqīb
gir jaa.eñ āsmān se haiñ vo sitāre ham
shisha-sifat the aap aur shisha-sifat the hum
bikhre hue se aap hain bikhre hue se hum
us ne thama di hath mein ek bansuri hamein
patthar uTha ke hath mein dene lage the hum
maujud hai teri tarah wo pas bhi nahin
kaise kahen ye baat ab pagal hawa se hum
har shaKHs tha teri taraf teri hi bazm thi
kis ko sunate phir tere qisse jafa ke hum
teri kisi murad ki KHatir mere raqib
gir jaen aasman se hain wo sitare hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.