shishe ke badan walo patthar se na Takrao
shīshe ke badan vaalo patthar se na Takrāo
dīvāne kī aamad hai is raah se haT jaao
ilzām koī tum ko qātil kā na de baiThe
dāman ko bachā kar tum maqtal se guzar jaao
tafrīq kā insāñ kī hal koī nikal aa.e
tajvīz koī aisī yaaro hameñ batlāo
us ne mire shānoñ pe zulfoñ ko bikherā hai
tā'bīr koī mujh ko is ḳhvāb kī batlāo
phir raas na aa.egī tanhā.ī tumheñ shāyad
'jāved' bulandī se dhartī pe utar aao
shishe ke badan walo patthar se na Takrao
diwane ki aamad hai is rah se haT jao
ilzam koi tum ko qatil ka na de baiThe
daman ko bacha kar tum maqtal se guzar jao
tafriq ka insan ki hal koi nikal aae
tajwiz koi aisi yaro hamein batlao
us ne mere shanon pe zulfon ko bikhera hai
ta'bir koi mujh ko is KHwab ki batlao
phir ras na aaegi tanhai tumhein shayad
'jawed' bulandi se dharti pe utar aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.