shishe ki tarah hai na wo patthar ki tarah hai
shīshe kī tarah hai na vo patthar kī tarah hai
is dil ke gulistāñ meñ gul-e-tar kī tarah hai
ai tang-nazar merī taraf dekhne vaale
kashkol faqīroñ kā samundar kī tarah hai
rahgīr ise miil kā patthar na samajh leñ
baiThā jo tirī raah meñ patthar kī tarah hai
hāsil huī maqtal meñ mire sar ko bulandī
ye merā muqaddar bhī bahattar kī tarah hai
kahte hue ham ne ye muḳhālif ko sunā hai
koī nahīñ ab shahr meñ 'ḳhushtar' kī tarah
shishe ki tarah hai na wo patthar ki tarah hai
is dil ke gulistan mein gul-e-tar ki tarah hai
ai tang-nazar meri taraf dekhne wale
kashkol faqiron ka samundar ki tarah hai
rahgir ise mil ka patthar na samajh len
baiTha jo teri rah mein patthar ki tarah hai
hasil hui maqtal mein mere sar ko bulandi
ye mera muqaddar bhi bahattar ki tarah hai
kahte hue hum ne ye muKHalif ko suna hai
koi nahin ab shahr mein 'KHushtar' ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.