Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shishe mein dekh kar wo hi shisha talashna

Gunjan Nagar Shayar Bakar

shishe mein dekh kar wo hi shisha talashna

Gunjan Nagar Shayar Bakar

MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar

    shīshe meñ dekh kar vo shīsha talāshnā

    vaisā hai jaise 'aks meñ chehra talāshnā

    jo ho gayā hai TuuT ke chūrā hijr meñ

    āsāñ nahīñ hai dil vo hissa talāshnā

    DhūñDho to mil jā.egā dīvāna 'ishq meñ

    mushkil nahīñ hai 'aql andhā talāshnā

    jis din tumheñ ḳhabar mile jannat dosto

    zinda talāshnā mujhe murda talāshnā

    pahle to tum ne jugnuoñ se chhīnī tīrgī

    phir kahte ho añdhere meñ rastā talāshnā

    lauTā huuñ jab se maut āġhosh meñ se maiñ

    pesha ban gayā mirā ḳhatrā talāshnā

    shishe mein dekh kar wo hi shisha talashna

    waisa hai jaise 'aks mein chehra talashna

    jo ho gaya hai TuT ke chura hi hijr mein

    aasan nahin hai dil ka wo hissa talashna

    DhunDho to mil hi jaega diwana 'ishq mein

    mushkil nahin hai 'aql ka andha talashna

    jis din tumhein KHabar mile jannat ki dosto

    zinda talashna mujhe murda talashna

    pahle to tum ne jugnuon se chhini tirgi

    phir kahte ho andhere mein rasta talashna

    lauTa hun jab se maut ki aaghosh mein se main

    pesha hi ban gaya mera KHatra talashna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now