shishon ki baat aur hai saghar ki baat aur
shishon ki baat aur hai saghar ki baat aur
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
shīshoñ kī baat aur hai sāġhar kī baat aur
saaqī hai terī chashm-e-fusūñ-gar kī baat aur
fānūs ne faroġh diyā sham-e-husn ko
parde se baḌh ga.ī ruḳh-e-anvar kī baat aur
ishrat-sarā-e-ḳhuld kā munkir to maiñ nahīñ
lekin tumhāre dam se hai is ghar kī baat aur
dil nāzukī meñ fard ḳhirad saḳhtiyoñ meñ taaq
shīshe kī baat aur hai patthar kī baat aur
vo bar-sabīl-e-dāvat-e-tauba sahī magar
kuchh der nāsehā mai-o-sāġhar kī baat aur
donoñ haiñ ek phir bhī jarāhat meñ farq hai
abrū kī baat aur hai ḳhanjar kī baat aur
bahr-e-sujūd yuuñ to hazāroñ haiñ āstāñ
un sab kī baat aur hai us dar kī baat aur
āsār kah rahe haiñ ki manzil qarīb hai
vaise to ham-safar hai muqaddar kī baat aur
donoñ kī shakl ek hai qīmat judā judā
aañsū kī baat aur hai gauhar kī baat aur
'fārūq' un ke va.ada-e-fardā pe ḳhush na ho
andar kī baat aur hai uupar kī baat aur
shishon ki baat aur hai saghar ki baat aur
saqi hai teri chashm-e-fusun-gar ki baat aur
fanus ne farogh diya sham-e-husn ko
parde se baDh gai ruKH-e-anwar ki baat aur
ishrat-sara-e-KHuld ka munkir to main nahin
lekin tumhaare dam se hai is ghar ki baat aur
dil nazuki mein fard KHirad saKHtiyon mein taq
shishe ki baat aur hai patthar ki baat aur
wo bar-sabil-e-dawat-e-tauba sahi magar
kuchh der naseha mai-o-saghar ki baat aur
donon hain ek phir bhi jarahat mein farq hai
abru ki baat aur hai KHanjar ki baat aur
bahr-e-sujud yun to hazaron hain aastan
un sab ki baat aur hai us dar ki baat aur
aasar kah rahe hain ki manzil qarib hai
waise to ham-safar hai muqaddar ki baat aur
donon ki shakl ek hai qimat juda juda
aansu ki baat aur hai gauhar ki baat aur
'faruq' un ke wada-e-farda pe KHush na ho
andar ki baat aur hai upar ki baat aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.