shikari hain baDe shatir bahana le ke chalte hain
shikari hain baDe shatir bahana le ke chalte hain
Azhar Bakhsh Azhar
MORE BYAzhar Bakhsh Azhar
shikārī haiñ baḌe shātir bahāna le ke chalte haiñ
vo tirchhī nazroñ meñ sīdhā nishāna le ke chalte haiñ
hamārī mezbānī se na ghabrāyā karo logo
ham apne saath apnā āb-o-dāna le ke chalte haiñ
zarā pahchān kar batlāo to ye kaun haiñ kyā haiñ
ki bādal jin ke sar par shāmiyāna le ke chalte haiñ
ki ham ahl-e-adab ham kyā kareñge hamsarī un kī
jo apne saath sarkārī ḳhazāna le ke chalte haiñ
sabhī ko ilm hai go phuul un ko kuchh nahīñ kahte
ye bhauñre haiñ mizāj-e-āshiqāna le ke chalte haiñ
Thikānoñ kī na socho aap 'az.har' ghar se to niklo
parinde saath meñ kab āshiyāna le ke chalte haiñ
shikari hain baDe shatir bahana le ke chalte hain
wo tirchhi nazron mein sidha nishana le ke chalte hain
hamari mezbani se na ghabraya karo logo
hum apne sath apna aab-o-dana le ke chalte hain
zara pahchan kar batlao to ye kaun hain kya hain
ki baadal jin ke sar par shamiyana le ke chalte hain
ki hum ahl-e-adab hum kya karenge hamsari un ki
jo apne sath sarkari KHazana le ke chalte hain
sabhi ko ilm hai go phul un ko kuchh nahin kahte
ye bhaunre hain mizaj-e-ashiqana le ke chalte hain
Thikanon ki na socho aap 'azhar' ghar se to niklo
parinde sath mein kab aashiyana le ke chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.