shikayat-e-gham-e-hijran is ehtimam ke sath
shikāyat-e-ġham-e-hijrāñ is ehtimām ke saath
ki dil ḳhamosh huā hai kisī ke naam se saath
qusūr thā lab-o-lahja kā varna ai saaqī
kahāñ thā mai kā taqāzā mire salām ke saath
masarratoñ ne jo chheḌā to aañkh bhar aa.ī
hañsī bhī aa.ī mujhe ġham ke ehtirām ke saath
zarūr gardish-e-daurāñ kī saañs ruk jaatī
tumhārā raqs bhī hotā jo raqs-e-jām ke saath
usī kā ham-safar-e-shauq kar diyā mujh ko
zamāna chal na sakā jis subuk-ḳhirām ke saath
nazāra yuuñ ho ki nazroñ kī tishnagī na bujhe
ye shart-e-ḳhās bhī rakh dī hai izn-e-ām ke saath
hai ḳhud hī ek mukammal fasāna ai 'jauhar'
kisī kā naam mire zikr-e-nā-tamām ke saath
shikayat-e-gham-e-hijran is ehtimam ke sath
ki dil KHamosh hua hai kisi ke nam se sath
qusur tha lab-o-lahja ka warna ai saqi
kahan tha mai ka taqaza mere salam ke sath
masarraton ne jo chheDa to aankh bhar aai
hansi bhi aai mujhe gham ke ehtiram ke sath
zarur gardish-e-dauran ki sans ruk jati
tumhaara raqs bhi hota jo raqs-e-jam ke sath
usi ka ham-safar-e-shauq kar diya mujh ko
zamana chal na saka jis subuk-KHiram ke sath
nazara yun ho ki nazron ki tishnagi na bujhe
ye shart-e-KHas bhi rakh di hai izn-e-am ke sath
hai KHud hi ek mukammal fasana ai 'jauhar'
kisi ka nam mere zikr-e-na-tamam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.