shikayat kis se hai kis baat ki hai
shikāyat kis se hai kis baat kī hai
kamī koī nahīñ kyā ye kamī hai
nazar-andāz kar ke ye milā hai
ki ab us ko mohabbat ho rahī hai
maiñ ik dariyā kā pyāsā thā magar ab
usī dariyā ko merī tishnagī hai
safar meñ niiñd meñ daftar meñ ghar meñ
kisī kī har jagah maujūdgī hai
mirā ġham Dhak liyā hai qahqahoñ ne
ujāloñ meñ ġhazab kī tīrgī hai
ḳhudā hone nahīñ detā hai mujh ko
mire andar kā vo jo aadmī hai
mohabbat ho ki ho nafrat kisī se
jagah dil meñ barābar ghertī hai
shikayat kis se hai kis baat ki hai
kami koi nahin kya ye kami hai
nazar-andaz kar ke ye mila hai
ki ab us ko mohabbat ho rahi hai
main ek dariya ka pyasa tha magar ab
usi dariya ko meri tishnagi hai
safar mein nind mein daftar mein ghar mein
kisi ki har jagah maujudgi hai
mera gham Dhak liya hai qahqahon ne
ujalon mein ghazab ki tirgi hai
KHuda hone nahin deta hai mujh ko
mere andar ka wo jo aadmi hai
mohabbat ho ki ho nafrat kisi se
jagah dil mein barabar gherti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.