shikayat sirf itni hai ki wo itna nahin khulta
shikāyat sirf itnī hai ki vo itnā nahīñ khultā
vo mujh se baat kartā hai magar mujh sā nahīñ khultā
amīroñ ko nazākat is qadar muhtāj kartī hai
ḳhud apnī car kā bhī un se darvāza nahīñ khultā
hai qismat us khilāḌī sī mirī maidān-e-ulfat meñ
jise mauqa to miltā hai magar khātā nahīñ khultā
bahut se faisle majbūriyoñ meñ lene paḌte haiñ
ki āḳhir toḌnā paḌtā hai jab taalā nahīñ khultā
mizāj aisā hai 'gauhar' kā sivā tere kisī se bhī
nahīñ khultā nahīñ khultā nahīñ khultā nahīñ khultā
shikayat sirf itni hai ki wo itna nahin khulta
wo mujh se baat karta hai magar mujh sa nahin khulta
amiron ko nazakat is qadar muhtaj karti hai
KHud apni car ka bhi un se darwaza nahin khulta
hai qismat us khilaDi si meri maidan-e-ulfat mein
jise mauqa to milta hai magar khata nahin khulta
bahut se faisle majburiyon mein lene paDte hain
ki aaKHir toDna paDta hai jab tala nahin khulta
mizaj aisa hai 'gauhar' ka siwa tere kisi se bhi
nahin khulta nahin khulta nahin khulta nahin khulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.