shikayat yun to hai is zindagi se
shikāyat yuuñ to hai is zindagī se
ji.e jaate haiñ par zinda-dilī se
baḌā ehsān hai ye dostoñ kā
diye haiñ ġham bhī to dariyā-dilī se
abhī kī haiñ nigāheñ chaar yaaro
abhī vāqif huā huuñ be-ḳhudī se
salīqe se abhī royā nahīñ huuñ
zamāna hañs rahā mujh par abhī se
pasīne se chaman sīñchā gayā hai
mujhe matlab guloñ kī tāzgī se
'dharam' daulat ġhamoñ kī de ga.e haiñ
man' karte bhī to kaise kisī se
shikayat yun to hai is zindagi se
jie jate hain par zinda-dili se
baDa ehsan hai ye doston ka
diye hain gham bhi to dariya-dili se
abhi ki hain nigahen chaar yaro
abhi waqif hua hun be-KHudi se
saliqe se abhi roya nahin hun
zamana hans raha mujh par abhi se
pasine se chaman sincha gaya hai
mujhe matlab gulon ki tazgi se
'dharam' daulat ghamon ki de gae hain
man' karte bhi to kaise kisi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.