shikayaton se ulajhne lagi hayat ki Dor
shikāyatoñ se ulajhne lagī hayāt kī Dor
mujhe ye Dar hai kaTe na ta'alluqāt kī Dor
guzar vahāñ kisī sūraj kā ho nahīñ saktā
charāġh thāme hue haiñ jahāñ pe raat kī Dor
vo ek shab mire hāthoñ meñ haath terā thā
lagā ki aa ga.ī hāthoñ meñ kā.enāt kī Dor
ġhazal ke reshmī dhāgoñ se mat laḌā shā'ir
bahut hī saḳht hai nāqid ke tajrabāt kī Dor
tamām 'umr nachātī hai ham ko unglī par
'ajīb hotī hai sāhib ye ḳhvāhishāt kī Dor
maiñ ḳhud se ek bhī lamha barī nahīñ hotā
dil-o-dimāġh ko bāñdhe hai iltifāt kī Dor
kisī kī Dor kī tezī ke ham nahīñ qaa.il
ḳhud apnī zaat se kaTtī hai apnī zaat kī Dor
bahut sañbhāl ke rakh apnī zindagī ai dil
phisal na jaa.e kisī din tumhāre haath kī Dor
shikayaton se ulajhne lagi hayat ki Dor
mujhe ye Dar hai kaTe na ta'alluqat ki Dor
guzar wahan kisi suraj ka ho nahin sakta
charagh thame hue hain jahan pe raat ki Dor
wo ek shab mere hathon mein hath tera tha
laga ki aa gai hathon mein kaenat ki Dor
ghazal ke reshmi dhagon se mat laDa sha'ir
bahut hi saKHt hai naqid ke tajrabaat ki Dor
tamam 'umr nachati hai hum ko ungli par
'ajib hoti hai sahib ye KHwahishat ki Dor
main KHud se ek bhi lamha bari nahin hota
dil-o-dimagh ko bandhe hai iltifat ki Dor
kisi ki Dor ki tezi ke hum nahin qail
KHud apni zat se kaTti hai apni zat ki Dor
bahut sanbhaal ke rakh apni zindagi ai dil
phisal na jae kisi din tumhaare hath ki Dor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.