shikan jabin pe na lae nazar jhuka ke chale
shikan jabīñ pe na laa.e nazar jhukā ke chale
ḳhudī kī laash uThānī hī thī uThā ke chale
ye mai-kada hai yahāñ laġhzishoñ se raunaq hai
koī bahak ke chale koī laḌkhaḌā ke chale
Thahar ga.e to zamāne ko saath Thahrāyā
chale to hosh uḌāte hue havā ke chale
ġham-e-hayāt ko samjhe the ahl-e-dil bhārī
hameñ hai naaz ki ye bojh bhī uThā ke chale
vo bāda-ḳhvār nahīñ aur kuchh hai ai saaqī
sharāb pī ke jo mānind pārsā ke chale
rah-e-junūñ meñ hazāroñ the ham-safar lekin
charāġh le ke ham hī sāmne havā ke chale
vo jām-e-mai ho ki ho jām-e-angabīñ 'ehsāñ'
chale jo daur bhī vo zarf aazmā ke chale
shikan jabin pe na lae nazar jhuka ke chale
KHudi ki lash uThani hi thi uTha ke chale
ye mai-kada hai yahan laghzishon se raunaq hai
koi bahak ke chale koi laDkhaDa ke chale
Thahar gae to zamane ko sath Thahraya
chale to hosh uDate hue hawa ke chale
gham-e-hayat ko samjhe the ahl-e-dil bhaari
hamein hai naz ki ye bojh bhi uTha ke chale
wo baada-KHwar nahin aur kuchh hai ai saqi
sharab pi ke jo manind parsa ke chale
rah-e-junun mein hazaron the ham-safar lekin
charagh le ke hum hi samne hawa ke chale
wo jam-e-mai ho ki ho jam-e-angabin 'ehsan'
chale jo daur bhi wo zarf aazma ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.