shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha
shikast-e-shām kā manzar bharī bahār meñ thā
maiñ apne ghar meñ bhī rah kar kisī hisār meñ thā
maiñ ik ġharīb vo lākhoñ ke kārobār meñ thā
mirā vajūd magar phir bhī iḳhtiyār meñ thā
kiyā hai apne hī logoñ ne pā.emāl mujhe
gilā ho kis se ki maiñ ḳhud hī e.atibār meñ thā
bahār kī jagah kaise ḳhizāñ chalī aa.ī
numū kā hausla jab shāḳh-e-barg-o-bār meñ thā
nikal sakā na vo zulmāt kī kashākash se
sahar ke vāste vo kab se intizār meñ thā
jo apnī zaat meñ ik anjuman rahā ai 'shauq'
bikhar gayā to vo yādoñ kī rahguzār meñ thā
shikast-e-sham ka manzar bhari bahaar mein tha
main apne ghar mein bhi rah kar kisi hisar mein tha
main ek gharib wo lakhon ke karobar mein tha
mera wajud magar phir bhi iKHtiyar mein tha
kiya hai apne hi logon ne paemal mujhe
gila ho kis se ki main KHud hi eatibar mein tha
bahaar ki jagah kaise KHizan chali aai
numu ka hausla jab shaKH-e-barg-o-bar mein tha
nikal saka na wo zulmat ki kashakash se
sahar ke waste wo kab se intizar mein tha
jo apni zat mein ek anjuman raha ai 'shauq'
bikhar gaya to wo yaadon ki rahguzar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.