shikast-e-zat ka tufan bhi to dekhna tha
shikast-e-zāt kā tūfān bhī to dekhnā thā
phir apnī raat kā nuqsān bhī to dekhnā thā
guzasht-gān-e-tamanna ke zaḳhm dekh aa.e
hamāre ahd kā insān bhī to dekhnā thā
vo ḳhālī jazbe vo ḳhālī makāñ vo ḳhālī sadā
tamām shahr ko vīrān bhī to dekhnā thā
banā thā ab ke mohabbat kā ik nayā manshūr
junūñ meñ ab ke garebān bhī to dekhnā thā
jo chhoḌ aa.e vahī ruuh kī zarūrat thī
jo bach gayā thā vo sāmān bhī to dekhnā thā
jo ḳhālī haath hī lauT aa.e kar ke ghar kā tavāf
bharī nigāh se dālān bhī to dekhnā thā
shikast-e-zat ka tufan bhi to dekhna tha
phir apni raat ka nuqsan bhi to dekhna tha
guzasht-gan-e-tamanna ke zaKHm dekh aae
hamare ahd ka insan bhi to dekhna tha
wo KHali jazbe wo KHali makan wo KHali sada
tamam shahr ko viran bhi to dekhna tha
bana tha ab ke mohabbat ka ek naya manshur
junun mein ab ke gareban bhi to dekhna tha
jo chhoD aae wahi ruh ki zarurat thi
jo bach gaya tha wo saman bhi to dekhna tha
jo KHali hath hi lauT aae kar ke ghar ka tawaf
bhari nigah se dalan bhi to dekhna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.