shikast-o-reKHt ki had se guzar gaya hun main
shikast-o-reḳht kī had se guzar gayā huuñ maiñ
sameT le koī aa kar bikhar gayā huuñ maiñ
koī sadā koī Thokar jagā sakī na mujhe
ye be-hisī kā fusūñ hai ki mar gayā huuñ maiñ
zamāna chashm-e-hiqārat se dekhtā hai mujhe
tirī nigāh se shāyad utar gayā huuñ maiñ
kisī bhī samt se miltā nahīñ surāġh koī
pata nahīñ ki kahāñ huuñ kidhar gayā huuñ maiñ
duā.eñ dete haiñ mere junūñ ko vīrāne
ujaḌ ke ḳhud unheñ ābād kar gayā huuñ maiñ
vo chand lamhoñ kā raqs-e-ġhubār hī samjho
jo rāh-e-zīst meñ aksar ubhar gayā huuñ maiñ
ye vāhima hī sahī phir bhī jā-e-ibrat hai
ki aap apne hī saa.e se Dar gayā huuñ maiñ
zabān-e-hāl se 'nātiq' ġhazal ke paikar maiñ
ta.assurāt ke tūfān bhar gayā huuñ maiñ
shikast-o-reKHt ki had se guzar gaya hun main
sameT le koi aa kar bikhar gaya hun main
koi sada koi Thokar jaga saki na mujhe
ye be-hisi ka fusun hai ki mar gaya hun main
zamana chashm-e-hiqarat se dekhta hai mujhe
teri nigah se shayad utar gaya hun main
kisi bhi samt se milta nahin suragh koi
pata nahin ki kahan hun kidhar gaya hun main
duaen dete hain mere junun ko virane
ujaD ke KHud unhen aabaad kar gaya hun main
wo chand lamhon ka raqs-e-ghubar hi samjho
jo rah-e-zist mein aksar ubhar gaya hun main
ye wahima hi sahi phir bhi ja-e-ibrat hai
ki aap apne hi sae se Dar gaya hun main
zaban-e-haal se 'natiq' ghazal ke paikar main
tassuraat ke tufan bhar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.