shikasta-dil sajaya ja raha hai
shikasta-dil sajāyā jā rahā hai
lahū se gul banāyā jā rahā hai
hai siilī miTTī kī ḳhushbū fazā meñ
hamārā dil jalāyā jā rahā hai
nahīñ rahnā mujhe apnoñ ke dil meñ
baḌā bhārī kirāya jā rahā hai
mohabbat ko ham apnā farz samjhe
hameñ farzī batāyā jā rahā hai
ḳhudā-e-ishq kā me.aar alag thā
so ḳhud ko phir banāyā jā rahā hai
mile the chand jiine ke bahāne
bahānoñ ko nibhāyā jā rahā hai
shikasta-dil sajaya ja raha hai
lahu se gul banaya ja raha hai
hai sili miTTi ki KHushbu faza mein
hamara dil jalaya ja raha hai
nahin rahna mujhe apnon ke dil mein
baDa bhaari kiraya ja raha hai
mohabbat ko hum apna farz samjhe
hamein farzi bataya ja raha hai
KHuda-e-ishq ka mear alag tha
so KHud ko phir banaya ja raha hai
mile the chand jine ke bahane
bahanon ko nibhaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.