shikasta-haal safina sambhaalne wala
shikasta-hāl safīna sambhālne vaalā
koī nahīñ hai bhañvar se nikālne vaalā
koī nahīñ hai tirī yaad tere ġham ke sivā
azāb-e-gardish-e-daurāñ ko Tālne vaalā
navāz de jise chāhe ba-yak nigāh-e-karam
gumāñ ko naqsh-e-haqīqat meñ Dhālne vaalā
nafas nafas ke amal kā hisāb rakhtā hai
vo sat.h-e-bahr se paanī uchhālne vaalā
ḳhud apne haal se begāna hotā jaatā hai
jahāñ ke dard ko siine meñ pālne vaalā
kisī ke husn ne chhoḌā kahāñ hai kab koī
matā-e-hosh-o-ḳhirad ko sambhālne vaalā
hamīñ to the jo sañbhāle the nazm-e-mai-ḳhāna
ab aage kaun hai is ko sambhālne vaalā
tulūa hogā vo sūraj to hogā mashriq se
kiran kiran se zamīñ ko ujālne vaalā
suḳhan meñ harf-o-hikāyat ke gauhar-e-nāyāb
vahī to hai mirī jholī meñ Dālne vaalā
dilāse dete haiñ kyā kyā ham ahl-e-urdu ko
magar koī nahīñ honī ko Tālne vaalā
shikasta-haal safina sambhaalne wala
koi nahin hai bhanwar se nikalne wala
koi nahin hai teri yaad tere gham ke siwa
azab-e-gardish-e-dauran ko Talne wala
nawaz de jise chahe ba-yak nigah-e-karam
guman ko naqsh-e-haqiqat mein Dhaalne wala
nafas nafas ke amal ka hisab rakhta hai
wo sath-e-bahr se pani uchhaalne wala
KHud apne haal se begana hota jata hai
jahan ke dard ko sine mein palne wala
kisi ke husn ne chhoDa kahan hai kab koi
mata-e-hosh-o-KHirad ko sambhaalne wala
hamin to the jo sanbhaale the nazm-e-mai-KHana
ab aage kaun hai is ko sambhaalne wala
tulua hoga wo suraj to hoga mashriq se
kiran kiran se zamin ko ujalne wala
suKHan mein harf-o-hikayat ke gauhar-e-nayab
wahi to hai meri jholi mein Dalne wala
dilase dete hain kya kya hum ahl-e-urdu ko
magar koi nahin honi ko Talne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.