shikasta hawaon ko par de gaya
shikasta havāoñ ko par de gayā
parinda fazā kī ḳhabar de gayā
nazāroñ se kartā rahā jang vo
jo haarā to apnī nazar de gayā
jise Thīkre bhī na ham ne diye
vo lafzoñ ke lā’l-o-guhar de gayā
vo ḳhud to shajar hī rahā raah kā
magar dūsroñ ko samar de gayā
tirī bazm se surḳh-rū sab chale
jo nādār thā apnā sar de gayā
vo 'nūr' ek ruḳhsat kā mā’sūm ġham
musāfir ko zād-e-safar de gayā
shikasta hawaon ko par de gaya
parinda faza ki KHabar de gaya
nazaron se karta raha jang wo
jo haara to apni nazar de gaya
jise Thikre bhi na hum ne diye
wo lafzon ke la’l-o-guhar de gaya
wo KHud to shajar hi raha rah ka
magar dusron ko samar de gaya
teri bazm se surKH-ru sab chale
jo nadar tha apna sar de gaya
wo 'nur' ek ruKHsat ka ma’sum gham
musafir ko zad-e-safar de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.