shikasta-pai se bach kar meri nikal bhi gaya
shikasta-pā.ī se bach kar mirī nikal bhī gayā
jo rāhbar thā mirā rāsta badal bhī gayā
karūñgā kyā jo huī phir bhī ātishīñ bārish
jo sā.ebāñ thā mire sar pe vo to jal bhī gayā
havā shadīd hai itnī ye jhoñpaḌe hī nahīñ
amīr-e-shahr tirā ḳhushnumā mahal bhī gayā
kamān khīñchne vaalā hadaf shanās na thā
shikār zad meñ nahīñ thā ki tiir chal bhī gayā
maiñ sochtā hī rahā rāste haiñ pechīda
jo mere saath chalā thā kahīñ nikal bhī gayā
jo tairnā hī nahīñ jāntā vo Dūbegā
zarā sī der ko kyā hai agar sañbhal bhī gayā
baḌā hī biphrā huā dast-e-shāh hai 'āsim'
bachāo ruuh vo jismoñ ko to kuchal bhī gayā
shikasta-pai se bach kar meri nikal bhi gaya
jo rahbar tha mera rasta badal bhi gaya
karunga kya jo hui phir bhi aatishin barish
jo saeban tha mere sar pe wo to jal bhi gaya
hawa shadid hai itni ye jhonpaDe hi nahin
amir-e-shahr tera KHushnuma mahal bhi gaya
kaman khinchne wala hadaf shanas na tha
shikar zad mein nahin tha ki tir chal bhi gaya
main sochta hi raha raste hain pechida
jo mere sath chala tha kahin nikal bhi gaya
jo tairna hi nahin jaanta wo Dubega
zara si der ko kya hai agar sanbhal bhi gaya
baDa hi biphra hua dast-e-shah hai 'asim'
bachao ruh wo jismon ko to kuchal bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.