shikasta pairahanon mein bhi rang sa kuchh hai
shikasta pairahanoñ meñ bhī rang sā kuchh hai
hamāre saath abhī nām-o-nang sā kuchh hai
harīf to sipar-andāz ho chukā kab kā
darūn-e-zāt magar mahv-e-jang sā kuchh hai
kahīñ kisī ke badan se badan na chhū jaa.e
is ehtiyāt meñ ḳhvāhish kā Dhang sā kuchh hai
jo dekhiye to na teġh-e-jafā na merā haath
jo sochiye to kahīñ zer-e-sang sā kuchh hai
vo merī maslahatoñ ko bigāḌne vaalā
hanūz mujh meñ vahī be-darang sā kuchh hai
chalo zamīñ na sahī āsmān hī hogā
mohabbatoñ pe bahar-hāl tang sā kuchh hai
shikasta pairahanon mein bhi rang sa kuchh hai
hamare sath abhi nam-o-nang sa kuchh hai
harif to sipar-andaz ho chuka kab ka
darun-e-zat magar mahw-e-jang sa kuchh hai
kahin kisi ke badan se badan na chhu jae
is ehtiyat mein KHwahish ka Dhang sa kuchh hai
jo dekhiye to na tegh-e-jafa na mera hath
jo sochiye to kahin zer-e-sang sa kuchh hai
wo meri maslahaton ko bigaDne wala
hanuz mujh mein wahi be-darang sa kuchh hai
chalo zamin na sahi aasman hi hoga
mohabbaton pe bahar-haal tang sa kuchh hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 86)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.